Tuesday, 15 May 2012

IMTIHAN HUM PYAR KA

Phir us ne ek sawal kia

Phir us ne ek sawal kia
Phir main ne ek jawab dia
Phir us ne ek shikayat ki
Phir ek gila main ne kia
Phir yon baat bhari aur
Us ne mujhe sab mardon sa
Mak'kar farebi mard kaha
Aur main ne use kamzarf kaha
Be'mahal kaha, be'dard kaha
Yon baaton mae pyar ghatne laga
Aur
Ankhon se shohlay barasne lagy
Phir tund hawaien chalny lagin
Aur aan ki aan mae
Barson ki sanjok ki faslaien jalny lagien
Phir her tanaa lab pe aya
Phir her shukwa tan pe aya
Phir sary sitam ginwaye gaye
Phir sary ahsaan jitaye gaye
Phir dol kowaien mae dala gya
Aur ek ek aeib nikala gaya
Jab sary aeib nikal liye
Jab sary kowaien khangal liye
Phir dono k khalyanon mae bubal k siwa
Jalny bhujnay ko kuch na raha
Kehny sun'nay ko kuch na bacha
Phir us mala per bahas hoi
Jo hum dono k haath mae thi
Jisy her musam, jisy her lamha
Hum dono mil k japty thy
Kabhi milan phuwar mae bheegty thy
Kabhi her pah aag mae tapty thy
Dukh ho, sukh ho ya aashaain
Her lamha sandaysay deti thi
Jo mooti main japta tha
Us ki purain leti thin
Yon ek ek kr k 
Mala k sab moti agay bharty thy
Kabhi dharkan k,kabhi sanson k,
Darya ruk ruk k chalty thy
Wo boli..!
Choro ye mala, ye nirmal mala meri hai
Main bola..!
Lekin is mala k moti to main laya tha
Wo boli..!
Manti hon lekin in motion mae
In pyar k jhoty motion mae
Dhaga main ne dala tha
Ye kah kr us ne kacha dhaga khench lia
Aur ab kuch us k puron mae
Kuch mere haath mae ulajh gaye
Aur wo nirmal mala k moti dono ki jal thal ankhon mae
Dono k dilon mae bikhar gaye
Wo kehti hai ye jhooty hain
Main kehta hon ye sachy hain


Sunta Hai Mera Khuda

Wednesday, 9 May 2012

Us Ke Pas Wafa Ki Gunjaesh Na thi

Us Ke Pas Wafa Ki Gunjaesh Na Thi To Phir B Hum Ne Use Bewafa Na Kaha
Piyar Hamary Mukadar Me Nahi Ye Soch Kar Khamosh Reh Gay..

Ustad-E-Ishq Sach Kaha Tu Ny Bohat Nalaiq Hoon Main...

Ustad-E-Ishq Sach Kaha Tu Ny Bohat Nalaiq Hoon Main...
Muddat Say Aek Shakhs Ko Manana Bhi Nhe Aaya..!!


Dekha Tha Tujhey Faqt Shok-e-Nazer Ki Khatir...

Dekha Tha Tujhey Faqt Shok-e-Nazer Ki Khatir...
Youn Dill Mei'n Bas Jao Gey Kabhi Socha Na Tha...

Wo bi Tarap na Jayen to is Aashique pe Lanat.

Wo bi Tarap na Jayen to is Aashique pe Lanat.
Hum se Faqat Nigaah Milanaay ki dair hai....!!